Sunday, March 17, 2013

Kabhi Dhundh Toh Kabhi Gard Mein Guzar Karta Hoon : Written By - Shishir Pradhan


कभी धुन्ध तो कभी गर्द में गुजर करता हूं,
मैं मुसाफिर हूं, हर हाल में सफर करता हूं,

मुझे राह की दुश्वारियों से क्या वास्ता ?
मेरा मकसद तो मन्जिल है, मैं मन्जिल पे नजर करता हूं

आलीशान बंगलो में सोने की आदत नही है मुझको,
मैं कांटों पे बदन रखता हूं, शोलों पे सर करता हूं

गैरों के तजुर्बों से मुझे फर्क नही पड.ता,
यारों की दुआ से हर काम 'बेहतर' करता हूं


- शिशिर प्रधान


Kabhi dhundh toh kabhi gard mein guzar karta hoon,
Main musaafir hoon har haal mein safar karta hoon,

Mujhe raah ki dushwaariyon se kya waasta?
Mera maqsad toh manzil hai, main manzil pe Nazar karta hoon

Aaleeshaan banglo mein sone ki aadat nahi hai mujhko,
Main kaanto pe badan rakhta hoon, sholon pe sar karta hoon

Gairon ke tajurbon se mujhe farq nahi padta
Yaaron ki dua se har kaam behtar karta hoon

- shisshir pradhan

1 comment:

Welcome To Shishir Pradhan's Blog