Its official blog of Shishir Pradhan. Shishir Pradhan is a writer and assistant director in Bollywood.
Wednesday, January 28, 2015
Tuesday, November 12, 2013
Utar Kar Chaman Se Kisi Roz Tum : Written By Shishir Pradhan
उतर कर चमन से किसी रात तुम,
मेरे आँगन में आकर उजाला यूँ करते,
मेरे चेहरे को अपने हाथों से धोकर,
चूम लेते मुझको, या यूँ ही ठहरते,
पोंछ्कर धूल अपने कदमों की थोडी,
मेरे माथे पे रख कर, मेरी माँग भरते,
रहते मेरे साथ मेरी उम्र बनकर,
तुम हमसे जीते और हम तुमपे मरते,
है मेरी बस ये ही इकलौती ख्वाहिश,
कि तुम मेरे होते! कि तुम मेरे होते!
- शिशिर प्रधान
Utar Kar Chaman Se Kisi Raat Tum,
Mere Aangan Mein Aakar Ujala Yun Karte,
Mere Chehre Ko Apne Haathon Se Dhokar,
Choom Lete Mujhko, Ya Yun Hi Thaharte,
Ponchhkar Dhool Apne Kadmon Ki Thodi,
Mere Maathe Pe Rakhkar, Meri Maang Bharte,
Rahte Mere Saath Meri Umr Bankar,
Tum Humse Jeete Aur Hum Tumpe Marte,
Hai Meri Bas Ye Hi Iklauti Khwahish,
Ki Tum Mere Hote! Ki Tum Mere Hote!
- Shisshir Pradhan
Monday, March 18, 2013
Written By Shishir Pradhan : आद्तन आज का भी हो वही अन्जाम मुमकिन है
Aadatan aaj
ka bhi ho wahi anjaam mumkin hai
Phir bheeg
kar beh jaaye shayad, shaam mumkin hai
Jab dasht e
imkaan mein mile wo to kya pata
Kuch soche aur
mujhse kahe ‘salaam’ mumkin hai
Ek khayaal
se muh pherne ki zaadojahad mein phir mujhe,
Achanak a hi
pade kahi se koi kaam mumkin hai
Rozgaar
e zeest! yoon gamo se hairaan nahi hoon main,
Abhi zindagi
dikhaye ‘kai’ mukaam mumkin hai
Aye inteha –
e gham tu aur shiddat se kehar dha
Saanse le
raha hoon toh jism mein hai jaan mumkin hai
Jab waqt
ne ujaad fenki hazaro khwahishein,
laakhon arziyaan,
Toh mit hi
jaayega ek din mera bhi naam mumkin hai.
-Shisshir
Pradhan
*Dasht e
imkaan = forest of probability
आद्तन आज का भी हो वही अन्जाम मुमकिन है
फिर भीग कर बह जाये शायद शाम मुमकिन है
जब दश्त ए इमकान में मिले वो तो क्या पता ?
कुछ सोंचे और मुझसे कहे सलाम! मुमकिन है
एक खयाल से मुँह फेरने की जद्दोजहद में फिर मुझे,
अचानक आ ही पडे कहीं से कोई काम मुमकिन है
रोजगार ए जीस्त! गमो से हैरान नहीं हूं मैं,
अभी जिन्दगी दिखाये ‘कई’ मुकाम मुमकिन है
ऐ इन्तहाँ – ऐ - गम तू और शिद्दत से कहर ढा,
साँसें ले रहा हूं तो जिस्म में है जान मुमकिन है
जब वक्त ने उजाड फेंकी हजारों ख्वाहिशें, लाखों अर्जियां,
तो मिट ही जायेगा इक दिन मेरा भी नाम मुमकिन है.
- शिशिर प्रधान
*दश्त ए इमकान = forest of probability
Sunday, March 17, 2013
Kabhi Dhundh Toh Kabhi Gard Mein Guzar Karta Hoon : Written By - Shishir Pradhan
कभी धुन्ध तो कभी गर्द में गुजर करता हूं,
मैं मुसाफिर हूं, हर हाल में सफर करता हूं,
मुझे राह की दुश्वारियों से क्या वास्ता ?
मेरा मकसद तो मन्जिल है, मैं मन्जिल पे नजर करता हूं
आलीशान बंगलो में सोने की आदत नही है मुझको,
मैं कांटों पे बदन रखता हूं, शोलों पे सर करता हूं
गैरों के तजुर्बों से मुझे फर्क नही पड.ता,
यारों की दुआ से हर काम 'बेहतर' करता हूं
- शिशिर प्रधान
Kabhi dhundh toh kabhi gard mein guzar karta hoon,
Main musaafir hoon har haal mein safar karta hoon,
Mujhe raah ki dushwaariyon se kya waasta?
Mera maqsad toh manzil hai, main manzil pe Nazar karta hoon
Aaleeshaan banglo mein sone ki aadat nahi hai mujhko,
Main kaanto pe badan rakhta hoon, sholon pe sar karta hoon
Gairon ke tajurbon se mujhe farq nahi padta
Yaaron ki dua se har kaam behtar karta hoon
- shisshir pradhan
Subscribe to:
Posts (Atom)


