Saturday, February 7, 2015

SAANSON KE TEER

Saanson ke teer nikle jism ke kamaan se…
Yun ho gaye bewaastaa hum apne jahaan se…

Awaargi ki raahein, mazilon mein shumaar hain…
Tinke ko kya lena hasrat e rukh e tufaan se…

Khud ki chitaa si jalti jisne raatein dekhi hon…
Kya fiqr usey kab bujh gaye sitaare asmaan se...

Tu mera tha, mera hai aur mera hi rahega…
Tanhai ke saye mile ik khushnuma gumaan se…

Wo Sitamgar hai yaqeenan tumpar zulm hi karega…
zakhm kitne bhi khaao par aah na kehna zubaan se….

Tanha hai to usse do baatein kar lena Bhale…
Par faasle hi behtar hain… Shishir pradhan se…

Shishir Pradhan's IMDB page

Tuesday, November 12, 2013

Utar Kar Chaman Se Kisi Roz Tum : Written By Shishir Pradhan

उतर कर चमन से किसी रात तुम,
मेरे आँगन में आकर उजाला यूँ करते,


मेरे चेहरे को अपने हाथों से धोकर,
चूम लेते मुझको, या यूँ ही ठहरते,


पोंछ्कर धूल अपने कदमों की थोडी,
मेरे माथे पे रख कर, मेरी माँग भरते,


रहते मेरे साथ मेरी उम्र बनकर,
तुम हमसे जीते और हम तुमपे मरते,


है मेरी बस ये ही इकलौती ख्वाहिश,
कि तुम मेरे होते!  कि तुम मेरे होते!


- शिशिर प्रधान



Utar Kar Chaman Se Kisi Raat Tum,
Mere Aangan Mein Aakar Ujala Yun Karte,


Mere Chehre Ko Apne Haathon Se Dhokar,
Choom Lete Mujhko, Ya Yun Hi Thaharte,


Ponchhkar Dhool Apne Kadmon Ki Thodi,
Mere Maathe Pe Rakhkar, Meri Maang Bharte,


Rahte Mere Saath Meri Umr Bankar,
Tum Humse Jeete Aur Hum Tumpe Marte,


Hai Meri Bas Ye Hi Iklauti Khwahish,
Ki Tum Mere Hote! Ki Tum Mere Hote!


- Shisshir Pradhan


Welcome To Shishir Pradhan's Blog