Saturday, February 7, 2015

SAANSON KE TEER

Saanson ke teer nikle jism ke kamaan se…
Yun ho gaye bewaastaa hum apne jahaan se…

Awaargi ki raahein, mazilon mein shumaar hain…
Tinke ko kya lena hasrat e rukh e tufaan se…

Khud ki chitaa si jalti jisne raatein dekhi hon…
Kya fiqr usey kab bujh gaye sitaare asmaan se...

Tu mera tha, mera hai aur mera hi rahega…
Tanhai ke saye mile ik khushnuma gumaan se…

Wo Sitamgar hai yaqeenan tumpar zulm hi karega…
zakhm kitne bhi khaao par aah na kehna zubaan se….

Tanha hai to usse do baatein kar lena Bhale…
Par faasle hi behtar hain… Shishir pradhan se…

No comments:

Post a Comment

Welcome To Shishir Pradhan's Blog